19/07/2026
Ek raat, do baje, main apne phone ki screen ghoor raha tha.
DM likh chuka tha. Send button pe ungli thi. Aur mera dil zor zor se dhak dhak kar raha tha jaisay koi bara faisla lene wala hun.
Ye koi normal message nahi tha. Ye mera pehla cold outreach tha, kisi aisay banday ko jo mujhe bilkul nahi janta tha. Na meri koi past client thi jiska example de sakun, na koi bara portfolio, na koi "trust badge." Sirf ek idea tha, thora sa hunar tha, aur ek umeed thi ke shayad koi mujhe mauka de de.
Maine send kar diya.
Reply aaya lekin jo main soch raha tha wo nahi tha.
Bande ne seedha keh diya: "Bhai tum naye ho na? Mujhe pata chal raha hai."
Us waqt jo feeling thi, wo main aaj bhi bhool nahi sakta. Sharam bhi, dar bhi, aur ye khayal bhi ke "shayad main is field ke liye bana hi nahi." Har naya banda jab kisi purani, established market mein utarta hai, to yehi sabse bara demon hota hai trust ka na hona.
Lekin maine reply likhna band nahi kiya.
Maine wahi kiya jo us waqt kar sakta tha sach bola. Maine nahi kaha ke mera 10 saal ka experience hai. Maine kaha, "Haan, main naya hun, lekin main aap ko itna time doonga aur itni mehnat karoonga jitni koi purana banda nahi karega. Aur agar result nahi mila to aap paisay wapis lein."
Us ek line ne cheez badal di.
Us client ne haan kar di thora shak ke sath, thori hesitation ke sath, lekin haan kar di.
Phir raatein lagi, research lagi, campaigns ko baar baar test karna para, aur bohat saari galtiyan huin. Lekin jab pehli lead aayi, jab pehla result screen pe dikha wo feeling koi bhi degree, koi bhi certificate nahi de sakta.
Client khush hua. Result mil gaya. Aur us din mujhe samajh aaya ke ye field sirf skills ka nahi, trust banane ka bhi khel hai.
Aaj Neuron Marketing jitni bhi cheez hai, uski neenv usi ek DM se pari thi jis mein koi confidence nahi tha, sirf himmat thi.
Agar aap bhi kisi naye safar ki shuruwat pe hain aur lagta hai koi aap pe trust nahi kar raha yaad rakhein, har expert kabhi beginner tha. Bas ek "haan" ki zaroorat hoti hai.