27/12/2025
Agar ads chal rahi hain lekin sales nahi aa rahi, to problem ads nahi hoti — problem wrong audience targeting hoti hai.”
Ye wo mistake hai jo silently business ka budget kha jati hai.
🤜 Damage of Wrong Audience Targeting:
Zyada tar businesses ye samajhte hain ke ad run karna hi marketing hai.
Lekin jab aap wrong audience ko target karte ho, to chahe offer kitna bhi acha ho,
results phir bhi nahi aate.
Socho,
Are you talking to people who actually need your product?
Agar jawab “maybe” hai, to yahin se problem start hoti hai.
👉Wrong audience targeting ka sab se pehla nuksaan ye hota hai ke
aap ka marketing budget waste hota hai.
Log ad dekhte hain, scroll kar dete hain,
kyun ke wo log aap ke product ke liye bane hi nahi hotay.
👉Doosra damage hota hai low engagement.
Likes, comments, messages nahi aate,
phir business owner sochta hai:
“Content weak hai” ya “Ads kaam nahi karti.”
Jab ke asal masla audience ka hota hai.
👉Teesra aur sab se dangerous nuksaan hota hai wrong data.
Jab aap ghalat logon ko ad dikha rahe ho,
to jo data milta hai wo bhi ghalat hota hai.
Aur jab data ghalat ho,
to next decisions bhi ghalat hotay hain.
Ask yourself:
Is my message reaching the right people?
Am I targeting buyers or just random viewers?
Simple Reality:
Sahi audience ke baghair
best creative, best offer, aur best ads bhi fail ho jati hain.
Professional Lesson:
Pehle audience samjho,
phir message banao,
phir ads run karo.
Isi order me marketing profit deti hai, warna sirf expense banti hai.
—
UMAIS ELITE MARKETING
Business | Marketing | Tech