29/04/2026
Saifabad police ne ek 31 saala shakhs, Thaturi Ravi, ko giraftar kiya jo police officer ban kar Telangana Secretariat mein dhakil ho gaya aur khud ko CM security se taluq batakar jhoota dawa karta raha....
Mulzim awaam ko bina appointment mulaqaat dilwane ka jhoot bolta aur Instagram par fake image banata raha. Police ne uske paas se wardi aur dusra samaan baramad kar liya...
Police ne iski acchi maalish karke Muqaddama darj karliya aur tahqiqat jaari hai