09/06/2026
Royal Sea Hotel ke qareeb ek dil dehla dene wala hadsa pesh aaya, jahan electric shock lagne se do larkon ki mauqa par hi jaan chali gayi.
AIMIM ke Floor Leader Janab Akbaruddin Owaisi Sahab foran waqea ki jagah par pohnche aur mutasireen ke ghar walon se mulaqat karke un se ta'ziyat ka izhar kiya.
Hum is intehai afsosnaak waqea par gehre dukh ka izhar karte hain. Allah Ta'ala marhoomeen ko Jannat-ul-Firdous ata farmae aur un ke ghar walon ko sabr-e-jameel naseeb kare.