07/08/2026
Pata nahin aap 18+ content kyun banate hain? Aap khud fahaashi ko promote karte hain?
Lo dekh lo khud!!!
Ek 18 maheene ki bachi ke saath kis ne ziadti ki?
Ji, woh to 17 saal ka ek nadan bacha tha... nadani mein ghalti kar baitha...
Nadan bacha tha?? Us ko itna pata hai ke kis tarah ki jati hai ziadti!
Sharm se doobne ka maqam hai ke aaj ke dour mein koi aqal ko haath marne wali baat kare to aap us ko fahash keh dete hain.
Aaj 12 saal ka larka woh sab bata sakta hai jo pehle shadi-shuda ko shadi karne ke baad pata chalta tha.
Is ki wajah pata hai kya?
In baaton ke liye jo awaaz uthata hai, us ko aap bura kehne baith jate hain, us par tanqeed karne baith jate hain. Aksar log kehte hain: "Aap ne aisi post kyun lagai? Ab hamare bachay parhenge to un ke zehan par kya asar parega? Woh bhi aisa sochne lagenge!"
Yeh jo 17 saal ka larka hai, is ke maa baap bhi guarantee dete honge ke hamara bacha bohat achha hai, yeh hai, woh hai.
Us bachi ka kya qasoor tha?
Bachi ne us larke ko khud ishara kiya tha?
Ya behooda libaas pehen kar saath gayi thi?
Ya yaar bana ke khud date ke liye gayi thi?
2019 ke baad kis zani ko phansi hui hai? Kis ko umar qaid hui hai? Kis ko chowk mein latka kar mara gaya hai?
Kisi ko bhi nahin!
Khudara aise muamlaat par kanjoosi na kiya karein, khul kar share karein. Apne beton ko batayein ke kis umar mein un ke kaise jazbaat hote hain, masail ko kaise handle karna hai aur nafs par kaise qaboo paana hai.
@18+content