29/01/2026
“Aaj raat jab main Gulistan-e-Jauhar se guzar raha tha to maine aik ajeeb manzar dekha. Aik Foodpanda rider ja raha tha aur uske peeche aik chhota sa bacha phone haath mein liye usay kuch samjha raha tha. Jab maine bike roki aur poocha ke yeh bacha kaun hai, to rider ne bataya ke yeh mera beta hai.
Kyunkay mujhe smartphone use karna nahi aata, is liye yeh roz mere saath aata hai aur isi tarah meri madad karta hai.
Yeh sun kar mujhe bohat khushi hui ke itni chhoti umar mein yeh bacha apne walid ka sahara ban gaya hai. Main Allah se dua karta hoon ke is bachay ka mustaqbil roshan ho aur iski mehnat aik din rang laaye. ❤️
P.S. Faraz Hussain