22/02/2026
π Ramadan Reminder β Dil Ko Badal Dene Wala Mahina π€²β¨
Ramadan sirf bhook aur pyaas ka naam nahi haiβ¦
Yeh apne aap ko badalne ka mahina hai.
Yeh nafs ko control karne ka, gusse ko thanda karne ka, aur dil ko saaf karne ka waqt hai. π€
Hum subah se shaam tak bhook aur pyaas bardasht kar lete hainβ¦
Lekin kya hum apni zaban ko bardasht karwa paate hain?
Kya hum apni aankhon ko har buri cheez se rok paate hain?
Kya hum apne dil ko hasad, nafrat aur gusse se paak rakh paate hain?
Roza humein sirf khana p*ena chhorna nahi sikhataβ¦
Roza humein insaan banna sikhata hai. π
Yeh humein yaad dilata hai ke:
β Har neβmat par βAlhamdulillahβ kehna chahiye
β Kisi ka dil todna sab se bara nuqsan hai
β Gussa p*e jana sab se bari jeet hai
β Maaf kar dena sab se bari taqat hai
Ramadan ka asal maqsad yeh hai ke jab yeh mahina khatam ho,
toh hum pehle jaisay na rahainβ¦
Hum zyada sabr wale, zyada shukar guzar, aur zyada rehmat ban chukay hon. πΈ
Aaj apne dil se poochainβ¦
Kya mera roza sirf bhook ka hai?
Ya phir meri soch, meri zaban, meri niyyat bhi roza daar hai?
Allah hum sab ko asal roza rakhne ki taufeeq de,
hamari ghaltiyan maaf farmaaye,
aur hamare dilon ko noor se bhar de. Ameen π€²β¨
π