25/12/2015
QUAID-E-AZAM MUHAMMAD ALI JINAH
• Qaid-e-azam mohammad ali jinah 25 december 1876 ko paida hoay
• Aap kay aabaao ajdaad ka talluq ..KATHIAWAR say tha ..
• Aapki maadri zuban gujrati thi ….
• Aap ko bacpan say he ghur sawari(hourse riding)ka shouq tha ..
• Qaid-e-azam samayt aap kul 7 behan bhai thay ….
• 1899 main aap ki waldah or 1902 main aap kay walid ka intiqaal hua
• 1918 main aap ki shadi rattan bai say hoee …
• Shadi kay baad rattan bai ka naam marium rakha gaya ..
• Qaid-e-azam ki aik sahabzadi theen jinka naam deena jinah tha laykin aik paarsi say shadi kernay per aap nay unsay talluq khatam kerdia tha .. ………………
• Qaid-e-azam nay ibtidaaee taleem sindh madasartul islam say hasil ki
• 1892 main aala taalem hasil kernay kayleay England chalay gaay or wahan 5 june 1893 ko LINCOLN’S INN main daakhla lia … is eedaray main daakhla laynay ki sab say baree waja yeah thi keh is uni kay darwazay per dunya ki qanoon saaz shakhseat main sab say pehlay NABI PAK(S.A.W.W) ka naam likha hua hay
• Aap nay 18 saal ki umer may barrister ka imtihaan pass kerlia tha
• 1896 main aap watan wapas loutay us waqt aap wahid musalman barrister thay ..
• 1906 main aap nay siyasat ka aghaaz kia …
• 15 august 1947 ko lahore high court kay chief justice sir abdur rasheed nay aap say governour genral ka halaf lia us waqt aap ki umer 70 saal 7 maah or 20 din thi …
• Balouch regiment nay aap ko guard of honour paish kia ..
• Qaid-e-azam governour genral ki haseat say aik rupiya mahwaar tankhua lia kertay thay …
• Qaid-e-azam is umer main bhi 18 ghantay kaam kia kertay thay.
• Qaid-e-azam kay dr unhain sakht aaraam kernay ka mashwara daytay laykin qaid hamaysha kaam ko terjeeh daytay.
• 1st july 1948 ko state bank kay iftitah per ki janay wali taqreer aap ki aakhree taqreer sabit hoee..
• 5 september 1948 ko aap ko namonia ki shikayat lahaq hogaee
• 6 september 1948 ko aap ko bukhaar or saans ki takleef main shiddat aagae
• 9 september ko aap per ghunoodgee taari hogaee or is haalat main bhi aap ko kaam ki fiker thi or inkay alfaaz thay …… aaj mujhay kashmeer commission say milna hay
• 10 september ko dr’s kay mashwaray kay baad aap ko Karachi rawana kia gaya …
• Uswaqt bhi qaid-e-azam nay himmat nahee choree thi .. aap ka kehna tha mai us waqt tak Karachi nahee jaon ga jabtak apnay paaon par chal na sakon …
• Dr colnol eelahi bakhsh nay aap ko aakhree injection laganay kay baad qaid-e-azam say kaha … janaab hum nay aap ko aik tawanaaee ka injection lagaya hay iska fori asar hoga or insha allah aap zindah salamat rahain gay …. Iskay jawaab main qaid nay farmaya …. Nahee ….. main nahee bach sakta …..
• Qaid-e-azam ki zuban say nikalnay walay aakhree alfaaz …. ALLAH or PAKISTAN thay ..
• 11 or 12 september ki dermiani shab raat 10 bajkar 25 minute per quaid-e-azam mohahammad ali jinah ka intiqaal hua …
• Qaid-e-azam kay intiqal ki khaber radio pakistan per raat 11 bajay nashar ki gaee …
• 12 september 1948 … dopayhar 2 bajay aap ki mayyat ko ghusal dia gaya …
• Molana shabbier ahmed usmani sahab nay aap ki namaaz-e-janaza parhaaee
• 3 bajay aap ka janazah uthaya gaya …
• Aap kay janazay ko 41 toupon ki salami dee gaee …
• Liqat ali khan , yousauf Abdullah haroon ,or nawabzadah siddique ali khan nay quad-e-azam ko LAYHAD (qabar) main utara
• Quaid-e-azam ki wafaat par 40 roz soug manaya gaya …